Poetry

HOME PAGE FOTO NAVEED SOFTWARE NAVEED LINKS SHARE FILES ITALIAN ZONE URDU ZONE Poetry  ISLAMIC FOTOS FUNNY FOTOS HENNA DESIGN LIVE TV SEE My Files My Photos



Teri khatir ye nazrein bichhi hi raheen Dil ne maana kabhi tum ne aana nahin Kitni chaahat hai dil mein tere wastay Jaan-i-Jaanan kabhi tum ne jaana nahin Aakhri deed ko aankhein tashna rahin Mil ke jaatay magar tum ne maana nahin Dil girifta hain ghamgeen hain..choor hain Apne deewanoon ko tum sataana nahin Tere aashiq ye sadyon se sooay nahin Aankh lag jaaye gar tum jagaana nahin Tujh se pehlay thi be-rung ye zindagi Ro chukay hain bohat ab rulaana nahin Jab say tu hai gayaa, phirtay hain jaa-bajaa Kaisay ruk jaaein apna thikaana nahin Roothna..maan-naa hans kay yun chher-na Wo rafaaqat ke pal tum bhulaana nahin Rishtay naazuk bohat dosti piyaar ke Ho sakay tu kabhi aazmaana nahin...Posted by naveed

 Kabhi To Khul Ke Baras Ab Ke Meherbaan Ki Tarah, Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon, Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland, Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah Bula Rahaa Hai Mujhe Phir Kisi Badan Ka Basant, Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah.post bynaveed

 Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha, Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha. Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya, Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha. Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta, Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha. Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya, Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha. Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi, Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha. Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha, Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha. Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka, Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wah o khiyal  Tha ...

posted by naveed

 TUMHE ZIDD HAI K IQRAR E WAFA TUM NE NAHI KARNA, MERI TAQDEER MAI RANG E HINA TUM NE NAHI BHARNA, TUMHE MANZOOR HAI SHAYAD, MERA GHUT GHUT K HI MARNA, TUMHARE FAISLEY PER AB, SAR E TASLEEM KHAM HO GA, MAI APNE HONT SEE LOO GA, YU HI BEKAIF JEE LOO GA, TUMHARE HIJR KI TASVEER KO DIL MAI SAJA LOO GA, TUMHARE JABR APNE SABR KO MAI AAZMA LOO GA, MAGAR EK BAAT MAI POOCHO, TUMHE APNI QASAM, TUM RAKH K APNE SER PER HAATH, PHIR KEHNA, TUMARE DIL MAI MERE NAAM SE HAL CHUL NAHI HOTI, MERE KHAT PARH K JAZBO MAI KOI TUFAN NAHI UTHTA, JAWAN RATO MAI MERI YAAD KI SHAMAY NAHI JALTI, TUMHARI DHARKANO MAI KYA MERI YADIEN NAHI PALTI, TO PHIR TUM NE AZZIYAT KI YE RADA, KYU TAAN RAKHI HAI, YE DIL MAI THHAN RAKHI HAI, BAHUT BAICHAN KHUD REHNA, MUJHE BARBAD SA RAKHNA, BHULANA BHI TO USS K SAATH KUCH KUCH YAAD SA RAKHNA, HAR EK ANDAAZ KO APNE SITAM EJAAD SA RAKHNA, AGAR ISS SHAUQ SE TUM KO KOI TASKEEN MILTI HAI, TO MERE ZAKHM E TALAB KA ''TAZKARA'' AB KAM SE KAM HO GA, TUMHARE FAISLEY PAR AB SAR E TASLEEM KHUM HO GA.... posted by naveed

Hum tho jugnoo hay mashghal-e-rah dushwar andhairay kay kaheen na ho ujala Hum tho kirnay hain nikhar sawaray kayHum Hum nay pehna hi nahee hay libas-e-noor mehaz Hum andhairoon may bana daitay aasar sawaray kay loogo ki faizyabi kaiay takhleeq hoay hay hum Hum Ujaloo say mita daitay hay afkar andhairay kay Jab bhi parha hay pala kabhi zulmaat say hum ko Safeenay hum daboo daitay hay har bar andhairay kay Jab doob jati hay har shay behr-e-zulmat may Hum zulmaton may phailadaitay hay anwar sawaray kay Zulmat-e-kufr tahertha kab hay noor-e-Islam k baad suraj kay samnay bhi dikhy hay kabhi asaar andhairay kay...posted by naveed

 jissay main roz bewafa pukaaarty hooon din main so baar uss pe jaan waaarty hoooon kiyoooon bichrr gaya or kabi laut na sakka rozana aisay hazarooon sawaaal main khud se krty hooon wo shakash kaisa zalim hai ik baar nahi dekha uss k diye zakhmo ko her shaaam main taza karty hooon meri zindage bina unwaaan k ik kitaaab ban gaye hai her roz iss k oraak ko palat palat kr dekhty hooon jub raat ko tanha chand ko aksar dekhooon main tau chpkay chupkay kuch aaansooo baha laity hooon kuch dair shaaam se pehlay pehlay ik udasssi main khud ko qaid kar laity hooon.....posted by naveed

Kabhi yaad aao tou iss terha K lahu ki sari tamazatein Tumehein rang rang samet lain Tumehein dhoop dhoop nikhar dein Tumehein harf harf mein sooch lein Tujeh dekhney ka jo shok hou Tou dayar-e-hijar ki teerge ko Mughgan ki nook se nooch lein Kabhi yaad aao tou iss terha K dil o nazar mein sama sakoo Kabhi hed se habse juno barhey Tou hawas ban ke bikhar sakoo Kabhi khil sakoo shab-e-wasal mein Kabhi khun-e-dil mein sanwar sakoo Sar-e-rahguzar jo kabhi milo Na thair sakoo, na guzar sakoo Mera dard phir se ghazal bane Kabhi gungunao tou iss terha Mere zakham phir se gulab hon Kabhi muskuraoo tou iss terha Meri dharkanein bhi laraz uthein Kabhi dil dukhaoo tou iss terha Jo nahi tou phir baree shok se Sabhi rabtee sabhi zabtee Kahein dhoop chaoon toore doo Na shikast-e-dil ka sitam sahoo Na suno kisi ka aazab-e-jan Na kisi se apni khalish kahoo Yunhi kush raho, yunhi kush phiroo ...posted by naveed

 Hum pathar DiL Log...! HUM pathar DiL Log her kisi ko dhoka dete hian.. Ham her kesi ko tana dete hian... her kisi per tanz ke teer chalate hian... kisi ko khushi tu de nahi sakte... haan LekeN dukh zaror dete hian... Hum pathar DiL Log...! hum jazbat or ehsasat se arii hochuke hai her kisi ke DiL se khailna jante hain... yehe sochte hian shayad ke samne wala bhi hamari tarah pathar ka hochuka hai kisii ke ansoo hum per asur nahi karte... kaun jane hum kab sa pathr ka ho chuky hai hum pathar DiL Log...! posted by naveed Aey Dil Tu Mohabbat Karta Kyun Hai Jo Karta Hai To Phir Tarapta Kyun Hai Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyaar Ka Dard Ban Ke Woh Aankhon Ke Raste Nikalta Kyun Hai Main Tere Saath Hoon Har Raah Main Mujh Se Kehta Tha Woh To Phir Aaj Yeh Raasta Mujhe Sunsaan Lagta Kyun Hai Main Dharkan Hoon Us Ke Dil Ki Woh Kehta Tha Mujhe Phir Aaj Uska Dil Mere Bina Dharakta Kyun Hai Woh Mera Nahi Hai Yeh Jaanti Hoon Main Phir Bhi Kisi Or Ke Saath Dekh Ke Us Ko Dil Machalta Kyun Hai posted by naveed Rukhsat Howa To Baat Meri Maan Ker Gaya Jo Uss Ke Paas Tha Mujhe Daan Ker Gaya Bichra Kuch Iss Adda Sey Ke Rut Hi Badal Gay Ek Shaks Sarey Shaher Ko Weraan Ker Gaya Dilchasp Waqiya Hai Ke Kal Ek Aziz Dost..... Apney Mufaat Par Mujhe Qurbaan Ker Gaya Kitni Soudhar Gaye Hai Judaai Mey Zindagi Haan Woh Jafa Jo Mujh Pay Ahsaan Ker Gaya Dost Main Baat Baat Par Kehta Tha Jisko Jaan AnMoL Shaks Akhir Mujh Ko BeY JaaN Ker Gaya posted by naveed Tumhara Naam likh likh ker mitana bhool jata hoon Tumhe jab yaad kerta hoon zamana bhool jata hoon Bohat si aisi baaten hain jo mere dil main rehti hain Magar jab tumse milta hoon batana bhool jata hoon Main yeh har shaam kehta hoon tumhain ab bhool jaoon ga Magar jab subha hoti hai bhulana bhool jata hoon. ..posted by naveed

 Ik Pal Main Ik Sadee Ka Maza Hum Se Pochiye Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Pochiye Bholy Hain Rafta Rafta Unheen Muddato Main Hum Qiston Main Khodkoshi Ka Maza Hum Se Pochiye Akhir Wo Jaan Hi Gaye Humey Un Se Payar Hai Ankhoon Ki Bekhudi Ka Maza Hum Se Pochiye Hansne Ka Shok Hum Ko Bhi Tha App Ki Tarha Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Pochiye !..posted by naveed kabhi apni baatein humein bebak si sunati hai aur kabhi humein dekh kar yun hi muskati hai dil ko de ek pyaari si khushi kabhi wo aisa kuchh keh jaati hai chehre pe khushi aur adaon mein shararat hai har baat mein uske phoolon si najaakat hai sabke dilon ko ek pal mein jeet lena shayad uski khoobsurat si aadat hai jaane kaise wo dil ki har baat jaan leti hai dil ko de ek pyaari si khushi kabhi wo aisa kuch keh jaati hai fursat mein banaya ho khuda ne aisi uski surat hai badi bholi badi pyaari aur bahut khoobsurat hai dil jalate hain aayino ke bhi wo hushn ki aisi murat hai sab kuchh jaan kar bhi khud ko anjaan jataati hai dil ko de ek pyaari si khushi kabhi wo aisa kuch keh jaati hai....

posted by naveed

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey, Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa, Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa, Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah, Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah, Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah. Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey, Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey. Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey? Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey? Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey? Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon, Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon ...posted by naveed

Zindagi kuch is ada se mili hai mujhe se Mil gai ho marney waley ko sansey jaise Tu na tha ,to na thi koi justujo dil main Tu mila to laga,mil gaya ho maqsad-e-hayat jaise Ab to judai k tasawoor se bhi kaanp utthta hai dil Meri har dharkan per tera naam likha ho jaise Main nahi janta k main teri chahat hoon ya nahi Phir bhi tujhey apna mana hai zindagi k jaise Meri har dua main zikar sirf tera hi hai... Manta hai tujhe ko Nasir khuda k baad jaise..posted by naveed Ajab din hain mohabaat k, ajab musam hain chaat k, kabhi gar yaad ayein tu palkoon per sitare jhilmilatay hain, kisi ki yaad mein ratoon ko aksar jagna mamool ha apna , kabhi gar neend ay tu hum yeh sooch latay hain , abhi tu woh humare wastay soya nhi ho ga, abhi roya nhi ho ga, abhi hum bhi nhi sotay,abhi hum bhi nhi rotay, so phir hum jagtay hain or us ko yaad kartay hain, aklay beth kar weran_e_dil abad karte hain, humray samnay taroon k jhurmut main akela chandh hota hai, falak per rakas karte un anghinat roshan sitaroon ko, jo hum tartib diytay hain , tu us ka naam banta hai, hum aglay roz jab miltay hai,guzri raat ki har baykuli ka zikar karte hain , har eik kissa sunatay hain , kahan kis waqt,kis trahan sa dil darkaya, batay hain..... main jab kheti ho k jana! "aaj tu mein raat ko eik pal nhi soe" tu woh kamosh rehta hai , per us ki neend main dobi hoi do ankhein achanka bol uthi hain, mein jab us ko batati hoon, k mein na raat ko roshan sitaroon mein, tumhara naam dekha hai.posted by naveed kyun humeIN tere aane ka intzar besabab hai in ankhon me sirf tere hone ka khwaab hai najaane mulakaat kaisi hogi humari jab milne se pehle tumse mohobbat behisab hai.... posted by naveed

Bahut roee hoon tab ja ke kaheen qaraar mila hai Is duniya mein kissay sacha pyar mila hai Guzar rahi hai zindagaani imtehaan ke daur se Aik khatm huwa tu dosra tayyar mila hai Mere daaman ko khusheyoon ka nahee malaal Gham ka khazaana isko beyshumaar mila hai Woh khushnaseeb hain jinhain mehboob mil gaya Mein khush hoon mujhe intezaar mila hai Gham nahee hai mujhe dhushman huwa zamaana Jab dost hathoon mein liye talwaar mila hai Sab kuch khuda ne tum ko kaise de diya Khwaab ko tu is ke dar se sirf inkaar mila hai...posted by naveed karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi hamari tamaam tar sAatein badal jati hain sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain chahe “Manzil“ “Dushwar“ ho aur “Duur“ bhi humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain yun to “Raat“ ka alam haseen hota hai, madhosh bhi magar“chand“ dekhoon to meri ratein badal jati hain mat chaho kh mujhe aadat nahi itna chahne walon ki yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain.. posted by naveed

Dunya Ki Lambi Rahoon Per Hum Yoon To Chaltay Jatay Hain Kuch Aaisay Loog Bhi Miltay Hain Jo Yaad Hameesha Aatay Hain Woh Rah Badaltay Hain Apni Aur Mur Ker Haath Hilatay Hain Lakin Woh Diloon Ko Yadoon Ki Khushboo Bun Ker Mehkatay Hain Aaisay Hi Safar Kertay Kertay, Ek Shakhas Mila Hum Ko Bhi Kahein Dunya Main Achay Loog Bohat , Lakin Us ki Si Baat Nahin Woh Dheemay Lehjay Wala Tha Aur Dheeray Say Hunsta Tha Jitnay Bhi Loog Milay Hum Ko , Such Jano, Sab Say Acha Tha Thi Laag Na Us Kay Boloon Main ,Ki Baat Na Koi Lagawat Ki Us Kay Fiqray Tootay Tootay , Us Ki Aankhien Khooyee Khooyee Si Keh Ker Hi Na Day Jo Hum Chahein , Soocha Hi Keray Betha Betha Per Dekhay Aaisi Nermi Say Ek Baar To Ho Jayay Dhooka Goo Saath Humara Khoob Raha , Us Ko Na Hui Pehchan Bohat Gar Boojh Lay Dil Ki Baat Kabhi , Ho Jata Tha Hairaan Bohat Hum Us ki Hairani Per Sherminda Ho Ker Reh Jatay Kuch Aur Humara Matlab Tha , Phir Dair Talak Yeah Samjhatay Aab Chehra Us Ka Ujla Hoo Ya Aankhein Us Ki Hoon Gehree Ya Us Kay Pyaray Hontoon Ki Her Baat Lagay Thehri Thehri Kuch Loog Jo Achay Hotay Hain Aur Rahoon Main Mil Jatay Hain Hain Un Apnay Kaam Bohat , Kab Apna Waqat Ganwatay Hain Kab Pyasay Pyasay Rehtay Hain , Kab Jee Ko Roog Lagatay Hain...posted by naveed

 TOTI HAY MERI NEEND , MAGAR TUMKO ES SAY KIA? BAJTAY RAHAIN HAWAON SAY DARR TUM KO ES SAY KIA? TUM MOJ MOJ MISL -E- SABA GHOOMTAY RAHO, KAT JAEN MERI SOCH KAY PARR TUM KO ES SAY KIA? ORON KA HAATH THAMO ONHAIN RAASTA DEKHAO, MAY BHOOL JAOON APNA HER GHAR TUM KO ES SAY KIA? TUM NAY TO THAK KAY DASHT MAY KHEMAY LAGA LIAY, TANHA KATAY KISI KA SAFAR TUM KO ES SAY KIA? TUM APNAY QEHQEHON KAY KHANAK MAY RAHO MAGAN, ROEIN KISI KAY SHAAM O SEHER TUM KO ES SAY KIA? ...posted by naveed

so ppl let me know how u feel about above poetry